Maula Ali a.s aqwal
•••••••••maula Ali a.s ka farman hai••••••••••
Bura dost aag ke manind hai.
Ager jalta hoga to aap ko Jala dega.
Aur ager bujha hoga to aap ke hath kaaley
Kar dega.
•••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••
Aazmaye huwe ko aazmana bewakufi hai
Maula Ali (a.s)
••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••
Ager tum kisi ko chota dekh rahe ho to tum usay door see dekh rahe ho.ya fir ghuroor see dekh rahe ho.
Maula Ali(a.s)
••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••
Allah ke nazdeek Sab se ziyada gunah gaar cheez jhoot bolne wali zuban hay
Maula Ali(a.s)
•••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••Gulaab ka phool bano.kyo ki ye phool us ke hath me bhi khusbu chor deta hai.jo isay masal Kar phaink deta hai.
Maula Ali(a.s)
••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••
Apni zuban ki tezi us par mat aazmao jis ne tumhe bolna sikhaya.
Maula Ali(a.s)
•••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••
2 cheezain sari zindagi kaam aayegi.
1.ghussay ki halat me koi faisla mat karo .
2 . Khushi ki halat me koi wada mat karo.
Maula Ali(a.s)
•••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••
Acha dost kitni dafa hi kyo na rooth Jaye usay Mana Lena cahiye.kyo ki tasbeeh ke Dane kitni dafa hi kyo na bikhre Chun liye jate hai.
Maula Ali (a.s)
•••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••
Ibaadat aisi karo jis se tumhari rooh ko Maja aaye .kyo ki Jo ibaadat dunya me Maja na de. wo akhirat me Kya jazah degi.
Maula Ali (a.s)
•••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••
Nek logo ki shobat ikhtiyar karo nek ban jaoge.boron ki sohbat se parhez karo badi see door ho jao ge.
Maula Ali (a.s)
•••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••3 kaam kisi ke dil me aap ki izzat barhatay hai.
1.salam karna!
2.kisi ko jagah Dena!
3.asal naam see pukarna!
Maula Ali (a.s)
•••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••
Ager tum usay na pa sako jise tum chahtay ho.to usay jaroor pa Lena Jo Tumhe chahta hai.
Maula Ali (a.s)
•••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••
Insaan ko bolne ke liye 1 saal lagta hai.par Kon sa lafz kaha istemal karna hai .ye seekhny ke liye Puri zindagi lag jati hai.
Maula Ali (a.s)
•••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••
Kamzor hai wo shakhs Jo dost na bana sake.aur us as bhi kamzor wo shakhs hai. jo banaa hua dost kho de.
Maula Ali(a.s)
•••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••
Rizq ke piche apna imaan kharab mat karo kyunki Rozi insan ko aise talash karti hai jaise Marne wale ko maut.
Maula Ali (a.s)
•••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••
Wo gunah jiska tumhen ranj ho. Allah ke nazdeek use Neki se behtar hai jisse tum mein guroor paida ho jaaye.
Maula Ali (a.s)
•••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••
Kisi ne mola Ali (sea.s) poochha !
Dost aur bhai mein Kya Fark hai aapne farmaya.
Bhai Sona hai aur dost Hira hai!
Use aadmi ne kaha!
Aapne bhai ko kam qimat aur dost ko qimati cheej se kyon tasbeeh di.
To aap ne farmaya.
Sone mein agar darar a jaaye .to usko pigla kar bilkul pahle jaisa banaya ja sakta hai. jab ki Hirey main ek darar a jaaye to wo kabhi bhi pahle jaisa nahin Ban sakta.
Maula Ali(a.s)
•••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••
Jab Meri Dua qabool Ho to main khush hota hun. ki is Mai Meri marji hai. aur jab qubool na ho to main aur khush hota Hun ki ye allah ki marji hai.
Maula Ali (a.s)
•••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••
Sabse bada gunah wo hai jo Karne wale ki najar mein chhota Ho.
Maula Ali (a.s)
•••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••
Mujhe jannat se jyada masjid mein baithna acha lagta hai. kyunki jannat mein mera nafs kush hoga .jab ki masjid mein Mera Rab khush hoga.
Maula Ali (a.s)
•••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••
Ek shaks ne maula Ali Ali Salam se
Q.qareeb kya hai?
A.qayamat
Q.aur qareeb tar?
A.Maut
Q. ajeeb kya hai?
A. dunia
Q. Aur ajeeb tar?
A. Talib e dunia.
Q. Wajib kya hai?
A. Toba.
Q. Aur wajib tar?
A. Gunah ke faurn baad tauba.
Q. Muskil kya hai?
A. Qubr me utarna.
Q. Aur muskil tar?
A. Aamal ke bagair utarna.
Maula Ali (a.s)
•••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••
Tum achcha karo aur zamana tumko bura samjhe. yah tumhare haq mein behtar hai.
bajaye iske Tum bura karo aur zamana tumko achcha samjhe.
Maula Ali (A.s)
•••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••
Maula ali
ReplyDeleteYa ali madad
ReplyDeletenad e ali
ReplyDelete